Fasle Ke Mani Ka Kyun Fareb Khate Ho

fasle ke mani ka kyun fareb khate ho

jitne dur jate ho utne pas aate ho

raat TuT paDti hai jab sukut-e-zindan par

tum mere KHayalon mein chhup ke gungunate ho

meri KHalwat-e-gham ke aahani darichon par

apni muskurahaT ki mishalen jalate ho

jab tani salaKHon se jhankti hai tanhai

dil ki tarah pahlu se lag ke baiTh jate ho

tum mere iradon ke Dolte sitaron ko

yas ke KHalaon mein rasta dikhate ho

kitne yaad aate ho puchhte ho kyun mujh se

jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasle Ke Mani Ka Kyun Fareb Khate Ho In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Fasle Ke Mani Ka Kyun Fareb Khate Ho is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Fasle Ke Mani Ka Kyun Fareb Khate Ho for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Fasle Ke Mani Ka Kyun Fareb Khate Ho in PDF.