Ek Mohabbat Ke Ewaz Arz-o-sama De Dunga

ek mohabbat ke ewaz arz-o-sama de dunga

tujh se kafir ko to main apna KHuda de dunga

justuju bhi mera fan hai mere bichhDe hue dost

jo bhi dar band mila us pe sada de dunga

ek pal bhi tere pahlu mein jo mil jae to main

apne ashkon se use aab-e-baqa de dunga

ruKH badal dunga saba ka tere kuche ki taraf

aur tufan ko apna hi pata de dunga

jab bhi aaen mere hathon mein ruton ki bagen

barf ko dhup to sahra ko ghaTa de dunga

tu karam kar nahin sakta to sitam toD ke dekh

main tere zulm ko bhi husn-e-ada de dunga

KHatm gar ho na saki uzr-tarashi teri

ek sadi tak tujhe jine ki dua de dunga

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Mohabbat Ke Ewaz Arz-o-sama De Dunga In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ek Mohabbat Ke Ewaz Arz-o-sama De Dunga is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ek Mohabbat Ke Ewaz Arz-o-sama De Dunga for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ek Mohabbat Ke Ewaz Arz-o-sama De Dunga in PDF.