Har Lamha Agar Gurez-pa Hai

har lamha agar gurez-pa hai

tu kyun mere dil mein bas gaya hai

chilman mein gulab sambhal raha hai

ye tu hai ki shoKHi-e-saba hai

jhukti nazren bata rahi hain

mere liye tu bhi sochta hai

main tere kahe se chup hun lekin

chup bhi tu bayan-e-muddaa hai

har des ki apni apni boli

sahra ka sukut bhi sada hai

ek umr ke baad muskura kar

tu ne to mujhe rula diya hai

us waqt ka hisab kya dun

jo tere baghair kaT gaya hai

mazi ki sunaun kya kahani

lamha lamha guzar gaya hai

mat mang duaen jab mohabbat

tera mera muamla hai

ab tujh se jo rabt hai to itna

tera hi KHuda mera KHuda hai

rone ko ab ashk bhi nahin hain

ya ishq ko sabr aa gaya hai

ab kis ki talash mein hain jhonke

main ne to diya bujha diya hai

kuchh khel nahin hai ishq karna

ye zindagi bhar ka rat-jaga hai

(1273) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lamha Agar Gurez-pa Hai In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Har Lamha Agar Gurez-pa Hai is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Har Lamha Agar Gurez-pa Hai for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Har Lamha Agar Gurez-pa Hai in PDF.