Hamesha Zulm Ke Manzar Hamein Dikhae Gae

hamesha zulm ke manzar hamein dikhae gae

pahaD toDe gae aur mahal banae gae

tulu-e-subh ki afwah itni aam hui

ki nisf shab ko gharon ke diye bujhae gae

ab ek bar to qudrat jawab-dah Thahre

hazar bar hum insan aazmae gae

falak ka tantana bhi TuT kar zamin pe gira

sutun ek gharaunde ke jab girae gae

teri KHudai mein shamil agar nasheb bhi hain

to phir kalim sar-e-tur kyun bulae gae

ye aasman the ki aaine the KHalaon mein

mah-o-nujum mein jhanka to hum hi pae gae

daraaz-e-shab mein koi apna ham-safar hi na tha

magar 'nadim' sadaen to hum lagae gae

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Zulm Ke Manzar Hamein Dikhae Gae In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Hamesha Zulm Ke Manzar Hamein Dikhae Gae is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Hamesha Zulm Ke Manzar Hamein Dikhae Gae for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Hamesha Zulm Ke Manzar Hamein Dikhae Gae in PDF.