Jaane Kahan The Aur Chale The Kahan Se Hum

jaane kahan the aur chale the kahan se hum

bedar ho gae kisi KHwab-e-giran se hum

ai nau-bahaar-e-naz teri nikhaton ki KHair

daman jhaTak ke nikle tere gulsitan se hum

pindar-e-ashiqi ki amanat hai aah-e-sard

ye tir aaj chhoD rahe hain kaman se hum

aao ghubar-e-rah mein DhunDen shamim-e-naz

aao KHabar bahaar ki puchhen KHizan se hum

aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath

kaise zamin ki baat kahen aasman se hum

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kahan The Aur Chale The Kahan Se Hum In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Jaane Kahan The Aur Chale The Kahan Se Hum is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Jaane Kahan The Aur Chale The Kahan Se Hum for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Jaane Kahan The Aur Chale The Kahan Se Hum in PDF.