Hum Un Ke Naqsh-e-qadam Hi Ko Jada Karte Rahe

hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe

jo gumrahi ke safar ka iada karte rahe

kai sawab to nisyan mein ho gae hum se

gunah kitne hi hum be-irada karte rahe

na sirf ahl-e-KHirad hi ka hum pe ehsan hai

ki ahmaqon se bhi hum istifada karte rahe

kuchh is saliqe se guzri hai zindagi apni

har ek tir pe hum dil kushada karte rahe

mere giroh ka rishta hai us qabile se

jo zindagi ka safar pa-piyaada karte rahe

hua hai aisa ki farigh iradatan bhi kabhi

hum apni rah mein kanTe ziyaada karte rahe

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Un Ke Naqsh-e-qadam Hi Ko Jada Karte Rahe In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Hum Un Ke Naqsh-e-qadam Hi Ko Jada Karte Rahe is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Hum Un Ke Naqsh-e-qadam Hi Ko Jada Karte Rahe for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Hum Un Ke Naqsh-e-qadam Hi Ko Jada Karte Rahe in PDF.