Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete

hum kabhi ishq ko wahshat nahin banne dete

dil ki tahzib ko tohmat nahin banne dete

lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm

naqsh tere teri surat nahin banne dete

ye sitare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyah

tere gham ko meri aadat nahin banne dete

un ki jannat bhi koi dasht-e-bala hi hogi

zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete

dost jo dard baTate hain wo nadani mein

dar-haqiqat meri sirat nahin banne dete

fikr fan ke liye lazim magar achchhe shaer

apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete

wo mohabbat ka talluq ho ki nafrat ka 'nadim'

rabte zist ko KHalwat nahin banne dete

(987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Hum Kabhi Ishq Ko Wahshat Nahin Banne Dete in PDF.