Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain

hum din ke payami hain magar kushta-e-shab hain

is haal mein bhi raunaq-e-alam ka sabab hain

zahir mein hum insan hain miTTi ke khilaune

baatin mein magar tund anasir ka ghazab hain

hain halqa-e-zanjir ka hum KHanda-e-jawed

zindan mein basae hue ek shahr-e-tarab hain

chaTki hui ye husn-e-gurezan ki kali hai

ya shiddat-e-jazbaat se khulte hue lab hain

aaghosh mein mahkoge dikhai nahin doge

tum nikhat-e-gulzar ho hum parda-e-shab hain

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Hum Din Ke Payami Hain Magar Kushta-e-shab Hain in PDF.