Ji Chahta Hai Falak Pe Jaun

ji chahta hai falak pe jaun

suraj ko ghurub se bachaun

bas mera chale jo gardishon par

din ko bhi na chand ko bujhaun

main chhoD ke sidhe raston ko

bhaTki hui nekiyan kamaun

imkan pe is qadar yaqin hai

sahraon mein bij Dal aaun

main shab ke musafiron ki KHatir

mishal na mile to ghar jalaun

ashaar hain mere istiare

aao tumhein aaine dikhaun

yun baT ke bikhar ke rah gaya hun

har shaKHs mein apna aks paun

aawaz jo dun kisi ke dar par

andar se bhi KHud nikal ke aaun

ai chaaragaran-e-asr-e-hazir

faulad ka dil kahan se laun

har raat dua karun sahar ki

har subh naya fareb khaun

har jabr pe sabr kar raha hun

is tarah kahin ujaD na jaun

rona bhi to tarz-e-guftugu hai

aankhen jo ruken to lab hilaun

KHud ko to 'nadim' aazmaya

ab mar ke KHuda ko aazmaun

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Chahta Hai Falak Pe Jaun In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Ji Chahta Hai Falak Pe Jaun is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Ji Chahta Hai Falak Pe Jaun for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Ji Chahta Hai Falak Pe Jaun in PDF.