Jo Log Dushman-e-jaan The Wahi Sahaare The

jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the

munafe the mohabbat mein ne KHasare the

huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai

jo iKHtiyar tumhaare the haq hamare the

ye aur baat bahaaren gurez-pa niklin

gulon ke hum ne to sadqe bahut utare the

KHuda kare ki teri umr mein gine jaen

wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the

ab izn ho to teri zulf mein piro den phul

ki aasman ke sitare to istiare the

qarib aae to har gul tha KHana-e-zambur

'nadim' dur ke manzar to pyare pyare the

(1339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Log Dushman-e-jaan The Wahi Sahaare The In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Jo Log Dushman-e-jaan The Wahi Sahaare The is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Jo Log Dushman-e-jaan The Wahi Sahaare The for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Jo Log Dushman-e-jaan The Wahi Sahaare The in PDF.