Kaun Kahta Hai Ki Maut Aai To Mar Jaunga

kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga

main to dariya hun samundar mein utar jaunga

tera dar chhoD ke main aur kidhar jaunga

ghar mein ghir jaunga sahra mein bikhar jaunga

tere pahlu se jo uTThunga to mushkil ye hai

sirf ek shaKHs ko paunga jidhar jaunga

ab tere shahr mein aaunga musafir ki tarah

saya-e-abr ki manind guzar jaunga

tera paiman-e-wafa rah ki diwar bana

warna socha tha ki jab chahunga mar jaunga

chaarasazon se alag hai mera mear ki main

zaKHm khaunga to kuchh aur sanwar jaunga

ab to KHurshid ko guzre hue sadiyan guzrin

ab use DhunDne main ta-ba-sahar jaunga

zindagi shama ki manind jalata hun 'nadim'

bujh to jaunga magar subh to kar jaunga

(5756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Kahta Hai Ki Maut Aai To Mar Jaunga In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Kaun Kahta Hai Ki Maut Aai To Mar Jaunga is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Kaun Kahta Hai Ki Maut Aai To Mar Jaunga for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Kaun Kahta Hai Ki Maut Aai To Mar Jaunga in PDF.