Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaen

labon pe narm tabassum racha ke dhul jaen

KHuda kare mere aansu kisi ke kaam aaen

jo ibtida-e-safar mein diye bujha baiThe

wo bad-nasib kisi ka suragh kya paen

talash-e-husn kahan le chali KHuda jaane

umang thi ki faqat zindagi ko apnaen

bula rahe hain ufuq par jo zard-ru Tile

kaho to hum bhi fasanon ke raaz ho jaen

na kar KHuda ke liye bar bar zikr-e-bahisht

hum aasman ka mukarrar fareb kyun khaen

tamam mai-kada sunsan mai-gusar udas

labon ko khol ke kuchh sochti hain minaen

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaen In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaen is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaen for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaen in PDF.