Lab-e-KHamosh Se Ifsha Hoga

lab-e-KHamosh se ifsha hoga

raaz har rang mein ruswa hoga

dil ke sahra mein chali sard hawa

abr gulzar pe barsa hoga

tum nahin the to sar-e-baam-e-KHayal

yaad ka koi sitara hoga

kis tawaqqoa pe kisi ko dekhen

koi tum se bhi hasin kya hoga

zinat-e-halqa-e-aghosh bano

dur baiThoge to charcha hoga

jis bhi fankar ka shahkar ho tum

us ne sadiyon tumhein socha hoga

aaj ki raat bhi tanha hi kaTi

aaj ke din bhi andhera hoga

kis qadar karb se chaTki hai kali

shaKH se gul koi TuTa hoga

umr bhar roe faqat is dhun mein

raat bhigi to ujala hoga

sari duniya hamein pahchanti hai

koi hum sa bhi na tanha hoga

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-KHamosh Se Ifsha Hoga In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Lab-e-KHamosh Se Ifsha Hoga is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Lab-e-KHamosh Se Ifsha Hoga for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Lab-e-KHamosh Se Ifsha Hoga in PDF.