Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta

main kisi shaKHs se bezar nahin ho sakta

ek zarra bhi to be-kar nahin ho sakta

is qadar pyar hai insan ki KHataon se mujhe

ki farishta mera mear nahin ho sakta

ai KHuda phir ye jahannam ka tamasha kiya hai

tera shahkar to finnar nahin ho sakta

ai haqiqat ko faqat KHwab samajhne wale

tu kabhi sahab-e-asrar nahin ho sakta

tu ki ek mauja-e-nikhat se bhi chaunk uThta hai

hashr aata hai to bedar nahin ho sakta

sar-e-diwar ye kyun nirKH ki takrar hui

ghar ka aangan kabhi bazar nahin ho sakta

rakh si majlis-e-aqwam ki chuTki mein hai kya

kuchh bhi ho ye mera pindar nahin ho sakta

is haqiqat ko samajhne mein luTaya kya kuchh

mera dushman mera gham-KHwar nahin ho sakta

main ne bheja tujhe aiwan-e-hukumat mein magar

ab to barson tera didar nahin ho sakta

tirgi chahe sitaron ki sifarish lae

raat se mujh ko sarokar nahin ho sakta

wo jo sheron mein hai ek shai pas-e-alfaz 'nadim'

us ka alfaz mein izhaar nahin ho sakta

(1928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Main Kisi ShaKHs Se Bezar Nahin Ho Sakta in PDF.