Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath

tu bigaDta bhi hai KHas apne hi andaz ke sath

phul khilte hain tere shoala-e-awaz ke sath

ek bar aur bhi kyun arz-e-tamanna na karun

ki tu inkar bhi karta hai ajab naz ke sath

lai jo TuTi to sada aai shikast-e-dil ki

rag-e-jaan ka koi rishta hai rag-e-saz ke sath

tu pukare to chamak uThti hain meri aankhen

teri surat bhi hai shamil teri aawaz ke sath

jab tak arzan hai zamane mein kabutar ka lahu

zulm hai rabt rakhun gar kisi shahbaz ke sath

past itni to na thi meri shikast ai yaro

par sameTe hain magar hasrat parwaz ke sath

pahre baiThe hain qafas par ki hai sayyaad ko wahm

par-shikaston ko bhi ek rabt hai parwaz ke sath

umr bhar sang-zani karte rahe ahl-e-watan

ye alag baat ki dafnaenge eazaz ke sath

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Tu BigaDta Bhi Hai KHas Apne Hi Andaz Ke Sath in PDF.