Biswin Sadi Ka Insan

mujhe sameTo

main reza reza bikhar raha hun

na jaane main baDh raha hun

ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun

na jaane main ji raha hun

ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun

main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga

mujhe pukaro mujhe sada do

main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso

mujhe mahakne ka walwala do

main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko

mujhe bulandi ki samt uDne ka hausla do

mujhe na toDo ki main gul-e-tar sahi

magar os ke bajae lahu mein tar hun

mujhe na maro

main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun

mujhe bachao ki main zamin hun

karoDon karoDon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun

jo KHuda ka ghar hun

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Biswin Sadi Ka Insan In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Biswin Sadi Ka Insan is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Biswin Sadi Ka Insan for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Biswin Sadi Ka Insan in PDF.