Azali Masarraton Ki Azali Manzil

maTiyale maTiyale baadal ghum rahe hain maidanon ke phailaw par

dariya ki diwani maujen humak humak kar hans deti hain ek naw par

samne ude se parbat ki abr-aluda choTi par hai ek shiwala

jis ke aks ki tabani se phail raha hai chaaron jaanib ek ujala

jhilmil karti ek mashal se mehrabon ke gahre sae raqsida hain

har su pariyan nach rahi hain jin ke aariz raKHshan nazren duzdida hain

ambar aur loban ki lahren doshiza ki zulfon pe aaise bal khati hain

chandi ke naqus ki tanen dhundle dhundle nazzaron mein ghul jati hain

hath baDhae sar nihuuDae patle sayon ka ek jhurmuT ghum raha hai

puja ki lazzat mein kho kar mandir ke tabinda zine chum raha hai

ek bahut patli pagDanDi sahil-e-dariya se mandir tak kanp rahi hai

naw chalane wali laDki chappu ko mathe se lagae hanp rahi hai

diwani ko kaun batae us mandir ki dhun mein sab thak-haar gae hain

sae ban ke ghum rahe hain jo be-bak chalane wale par gae hain

wo jab naw se utregi maTiyale maTiyale baadal ghir aaenge

maidanon par kohsaron par dariya par naw par sab par chha jaenge

awwal to pagDanDi kho kar gir jaegi ghaaron ghaaron mein bechaari

bach nikli to ho jaegi us ke nazuk dil par ek haibat si tari

hosh mein aai to rag rag par ek nasha sa be-hoshi ka chhaya hoga

jism ke badle us mandir mein dhundla ek lachkila saya hoga

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azali Masarraton Ki Azali Manzil In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Azali Masarraton Ki Azali Manzil is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Azali Masarraton Ki Azali Manzil for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Azali Masarraton Ki Azali Manzil in PDF.