Aqide

apne mazi ke ghane jangal se

kaun niklega! kahan niklega

be-karan raat sitare nabud

chand ubhra hai? kahan ubhra hai?

ek fasana hai tajalli ki numud

kitne gunjaan hain ashjar-e-buland

kitna mauhum hai aadam ka wajud

muzmahil chaal qadam bojhal se

apne mazi ke ghane jangal se

mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar

aahan o sang o sharar barsaen

aao ashjar ki buniyaadon par

tesha o tegh-o-tabar barsaen

ek tasalsul se hum apni choTen

be-KHatar bar-e-digar barsaen

zehn par chhae hain kyun baadal se

apne mazi ke ghane jangal se

nau-e-insan ko nikalna hoga

in andheron ko nigalna hoga

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aqide In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Aqide is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Aqide for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Aqide in PDF.