Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun

yun to pahne hue pairahan-e-KHar aata hun

ye bhi dekho ki ba-sauda-e-bahaar aata hun

arsh se jab nahin uThti meri fariyaad ki gunj

main tujhe dil ke KHarabe mein pukar aata hun

mujhe aata hi nahin bas mein kisi ke aana

aaun bhi to ba-kaf-e-abla-dar aata hun

tu yahan zer-e-ufuq chand ghaDi susta le

main zara din se nimaT kar shab-e-tar! aata hun

tujh se chhuT kar bhi teri surKHi-e-ariz ki qasam

chupke chupke tere dil mein kai bar aata hun

ye alag baat ki phulon pe ho zaKHmon ka guman

main to jab aata hun ham-rang-e-bahaar aata hun

dasht-e-har-fikr se main asr-e-rawan ka insan

ho ke KHud apni zehanat ka shikar aata hun

inhi do baaton mein kaT jati hai sab umr 'nadim'

ai gham-e-dahr na chheD ai gham-e-yar aata hun

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Yun To Pahne Hue Pairahan-e-Khaar Aata Hun in PDF.