Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao

yun be-kar na baiTho din bhar yun paiham aansu na bahao

itna yaad karo ki bil-aKHir aasani se bhul bhi jao

sare raaz samjho lo lekin KHud kyun un ko lab par lao

dhoka dene wala ro de aisi shan se dhoka khao

zulmat se manus hain aankhen chand ubhra to mund jaengi

baalon ko uljha rahne do ek uljhaw sau suljhaw

kal ko kal par rakkho jab kal aaega dekha jaega

aaj ki raat bahut bhaari hai aaj ki raat yahin rah jao

kab tak yun parde mein husn mohabbat ko Thukraata

maut ka din bhi hashr ka din hai chhupne walo samne aao

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Yun Be-kar Na BaiTho Din Bhar Yun Paiham Aansu Na Bahao in PDF.