Wo Koi Aur Na Tha Chand KHushk Patte The

wo koi aur na tha chand KHushk patte the

shajar se TuT ke jo fasl-e-gul pe roe the

abhi abhi tumhein socha to kuchh na yaad aaya

abhi abhi to hum ek dusre se bichhDe the

tumhaare baad chaman par jab ek nazar Dali

kali kali mein KHizan ke charagh jalte the

tamam umr wafa ke gunahgar rahe

ye aur baat ki hum aadmi to achchhe the

shab-e-KHamosh ko tanhai ne zaban de di

pahaD gunjte the dasht sansanate the

wo ek bar mere jin ko tha hayat se pyar

jo zindagi se gurezan the roz marte the

nae KHayal ab aate hain Dhal ke aahan mein

hamare dil mein kabhi khet lahlahate the

ye irtiqa ka chalan hai ki har zamane mein

purane log nae aadmi se Darte the

'nadim' jo bhi mulaqat thi adhuri thi

ki ek chehre ke pichhe hazar chehre the

(1325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Koi Aur Na Tha Chand KHushk Patte The In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Wo Koi Aur Na Tha Chand KHushk Patte The is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Wo Koi Aur Na Tha Chand KHushk Patte The for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Wo Koi Aur Na Tha Chand KHushk Patte The in PDF.