Umr Bhar Usne Isi Tarah Lubhaya Hai Mujhe

umr bhar us ne isi tarah lubhaya hai mujhe

wo jo is dasht ke us par se laya hai mujhe

kitne aainon mein ek aks dikhaya hai mujhe

zindagi ne jo akela kabhi paya hai mujhe

tu mera kufr bhi hai tu mera iman bhi hai

tu ne luTa hai mujhe tu ne basaya hai mujhe

main tujhe yaad bhi karta hun to jal uThta hun

tu ne kis dard ke sahra mein ganwaya hai mujhe

tu wo moti ki samundar mein bhi shoala-zan tha

main wo aansu ki sar-e-KHak giraya hai mujhe

itni KHamosh hai shab log Dare jate hain

aur main sochta hun kis ne bulaya hai mujhe

meri pahchan to mushkil thi magar yaron ne

zaKHm apne jo kurede hain to paya hai mujhe

waiz-e-shahr ke naron se to kya khulti aankh

KHud mere KHwab ki haibat ne jagaya hai mujhe

ai KHuda ab tere firdaus pe mera haq hai

tu ne is daur ke dozaKH mein jalaya hai mujhe

(1433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Bhar Usne Isi Tarah Lubhaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Umr Bhar Usne Isi Tarah Lubhaya Hai Mujhe is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Umr Bhar Usne Isi Tarah Lubhaya Hai Mujhe for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Umr Bhar Usne Isi Tarah Lubhaya Hai Mujhe in PDF.