Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paun Jahan Tak Dekhun

tujhe kho kar bhi tujhe paun jahan tak dekhun

husn-e-yazdan se tujhe husn-e-butan tak dekhun

tu ne yun dekha hai jaise kabhi dekha hi na tha

main to dil mein tere qadmon ke nishan tak dekhun

sirf is shauq se puchhi hain hazaron baaten

main tera husn tere husn-e-bayan tak dekhun

mere virana-e-jaan mein teri yaadon ke tufail

phul khilte nazar aate hain jahan tak dekhun

waqt ne zehn mein dhundla diye tere KHad-o-KHal

yun to main TuTte taron ka dhuan tak dekhun

dil gaya tha to ye aankhen bhi koi le jata

main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun

ek haqiqat sahi firdaus mein huron ka wajud

husn-e-insan se nimaT lun to wahan tak dekhun

(4622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paun Jahan Tak Dekhun In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paun Jahan Tak Dekhun is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paun Jahan Tak Dekhun for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paun Jahan Tak Dekhun in PDF.