Jangal Ki Aag

aag jangal mein lagi thi lekin

bastiyon mein bhi dhuan ja pahuncha

ek uDti hui chingari ka

saya phaila to kahan ja pahuncha

tang galiyon mein umaDte hue log

go bacha lae hain jaanen apni

apne sar par hain janaze apne

apne hathon mein zabanen apni

aag jab tak na bujhe jangal ki

bastiyon tak koi jata hi nahin

husn-e-ashjar ke matwalon ko

husn-e-insan nazar aata hi nahin

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangal Ki Aag In English By Famous Poet Ahmad Nadeem Qasmi. Jangal Ki Aag is written by Ahmad Nadeem Qasmi. Read famous Poem Jangal Ki Aag for youth and Student by Ahmad Nadeem Qasmi. Free Download Jangal Ki Aag in PDF.