Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte

qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram nahin karte

zamana-saz to karte hain hum nahin karte

tumhaari zulf ko suljhaenge wo diwane

jo apne chaak-e-gareban ka gham nahin karte

utar chuka hai rag-o-pai mein zahr-e-gham phir bhi

ba-pas-ahd-e-wafa chashm nam nahin karte

ye apna dil hai ki is haal mein bhi zinda hain

sitam kuchh ahl-e-sitam hum pe kam nahin karte

girafta-dil hain butan-e-haram ki ab shair

nashat-o-aish ke saman baham nahin karte

suna rahe hain jahan ko hadis-e-dar-o-rasan

hikayat-e-qad-o-gesu raqam nahin karte

wo aastan-e-shahi ho ki aastana-e-dost

ye ab kahin sar-e-taslim KHam nahin karte

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte In English By Famous Poet Ahmad Rahi. Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte is written by Ahmad Rahi. Read famous Poem Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte for youth and Student by Ahmad Rahi. Free Download Qayam-e-dair-o-tawaf-e-haram Nahin Karte in PDF.