Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun

aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun

hai dur bahut wo KHwab-nashin kya baat karun

kya baat karun jo aks tha meri aankhon mein

wo chhoD gaya ek sham kahin kya baat karun

kya baat karun jo ghaDiyan meri hamdam thin

wo ghaDiyan hi aazar banin kya baat karun

kya baat karun mere sathi mujh se chhuT gae

wo log nahin wo KHwab nahin kya baat karun

kya baat karun ye log bhala kab sunte hain

sab baaten andar Dub gain kya baat karun

kya baat karun apnon ki jitni lashen thin

mere sine mein sab aan girin kya baat karun

kya baat karun jo baaten tum se karni thin

ab un baaton ka waqt nahin kya baat karun

kya baat karun kabhi pani baaten karta tha

ye dariya is ki KHushk zamin kya baat karun

kya baat karun sahra mein chand akela hai

aur mere sath bhi koi nahin kya baat karun

kya baat karun 'rizwan' ki rona aata hai

sab baaten us ki baat se thin kya baat karun

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun In English By Famous Poet Ahmad Rizwan. Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun is written by Ahmad Rizwan. Read famous Poem Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun for youth and Student by Ahmad Rizwan. Free Download Aata Hi Nahin Hone Ka Yaqin Kya Baat Karun in PDF.