Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin

baat karne ka nahin samne aane ka nahin

wo mujhe meri aziyyat se bachane ka nahin

dur ek shahr hai jo pas bulata hai mujhe

warna ye shahr kahin chhoD ke jaane ka nahin

kya yunhi raat ke pahlu mein kaTegi ye hayat

kya koi shahr ke logon ko jagane ka nahin

ajnabi log hain main jin mein ghira rahta hun

aashna koi yahan mere fasane ka nahin

ye jo ek shahr hai ye jis pe tasarruf hai mera

main yahan koi bhi diwar banane ka nahin

baad muddat ke jo aaya tha wahi lauT gaya

ab yahan koi charaghon ko jalane ka nahin

aane wali hai nai subh zara der ke baad

kya koi rah-e-tamanna ko sajaane ka nahin

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin In English By Famous Poet Ahmad Rizwan. Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin is written by Ahmad Rizwan. Read famous Poem Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin for youth and Student by Ahmad Rizwan. Free Download Baat Karne Ka Nahin Samne Aane Ka Nahin in PDF.