KHak Dekhi Hai Shafaq-zar Falak Dekha Hai

KHak dekhi hai shafaq-zar falak dekha hai

zarf bhar teri tamanna mein bhaTak dekha hai

aisa lagta hai koi dekh raha hai mujh ko

lakh is wahm ko sochon se jhaTak dekha hai

qudrat-e-zabt bhi logon ko dikhai hum ne

surat-e-ashk bhi aankhon se chhalak dekha hai

jaane tum kaun se manzar mein chhupe baiThe ho

meri aankhon ne bahut dur talak dekha hai

raat ka KHauf nahin ghaTta andhera to kuja

sab tarah-dar sitaron ne chamak dekha hai

ek muddat se use dekh raha hun 'ahmad'

aur lagta hai abhi ek jhalak dekha hai

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Dekhi Hai Shafaq-zar Falak Dekha Hai In English By Famous Poet Ahmad Rizwan. KHak Dekhi Hai Shafaq-zar Falak Dekha Hai is written by Ahmad Rizwan. Read famous Poem KHak Dekhi Hai Shafaq-zar Falak Dekha Hai for youth and Student by Ahmad Rizwan. Free Download KHak Dekhi Hai Shafaq-zar Falak Dekha Hai in PDF.