Main KHak Ho Raha Hun Yahan KHak-dan Mein

main KHak ho raha hun yahan KHak-dan mein

wo rang bhar raha hai udhar aasman mein

ye kaun bolta hai mere dil ke andarun

aawaz kis ki gunjti hai is makan mein

phir yun hua ki zamzama-pardaz ho gai

wo andalib aur kisi gulsitan mein

uDti hai KHak dil ke darichon ke aas-pas

shayad makin koi nahin is makan mein

yunhi nahin ruka tha zara der ko safar

diwar aa gai thi koi darmiyan mein

ek KHwab ki talash mein nikla hua wajud

shayad pahunch chuka hai kisi dastan mein

'ahmad' tarashta hun kahin baad mein use

taswir dekh leta hun pahle chaTan mein

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHak Ho Raha Hun Yahan KHak-dan Mein In English By Famous Poet Ahmad Rizwan. Main KHak Ho Raha Hun Yahan KHak-dan Mein is written by Ahmad Rizwan. Read famous Poem Main KHak Ho Raha Hun Yahan KHak-dan Mein for youth and Student by Ahmad Rizwan. Free Download Main KHak Ho Raha Hun Yahan KHak-dan Mein in PDF.