Shab Dhale Gumbad-e-asrar Mein Aa Jata Hai

shab Dhale gumbad-e-asrar mein aa jata hai

ek saya dar-o-diwar mein aa jata hai

main abhi ek hawale se use dekhta hun

dafatan wo nae kirdar mein aa jata hai

yun shab-e-hijr shab-e-wasl mein Dhal jati hai

koi mujh sa meri guftar mein aa jata hai

mujh sa diwana koi hai jo tere nam ke sath

raqs karta hua bazar mein aa jata hai

jab wo karta hai nae Dhab se meri baat ko radd

lutf kuchh aur bhi guftar mein aa jata hai

dekhna us ko bhi paDta hai miyan duniya mein

samne jo yunhi be-kar mein aa jata hai

ek din qais se ja milta hai wahshat ke tufail

jo bhi is dasht-e-suKHan-zar mein aa jata hai

main kabhi KHud ko agar DhunDhna chahun 'ahmad'

dusra mariz-e-izhaar mein aa jata hai

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Dhale Gumbad-e-asrar Mein Aa Jata Hai In English By Famous Poet Ahmad Rizwan. Shab Dhale Gumbad-e-asrar Mein Aa Jata Hai is written by Ahmad Rizwan. Read famous Poem Shab Dhale Gumbad-e-asrar Mein Aa Jata Hai for youth and Student by Ahmad Rizwan. Free Download Shab Dhale Gumbad-e-asrar Mein Aa Jata Hai in PDF.