Jab Tak Ghubar-e-rah Mera Ham-safar Raha

jab tak ghubar-e-rah mera ham-safar raha

rasta to tha tawil magar muKHtasar raha

har chand ho gaya hai surayya se bhi buland

lekin shajar jafa ka sada be samar raha

ahl-e-junun ne toD diye wo hisar bhi

hosh-o-KHirad ka tesha jahan be-zarar raha

ye mai-kada hai jae ibaadat hai rind ki

duniya ka har fareb yahan be asar raha

fasl-e-KHizan mein is ka koi tazkira nahin

sadiyon talak bahaar ka jo rahbar raha

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Ghubar-e-rah Mera Ham-safar Raha In English By Famous Poet Ahmad Shahid Khan. Jab Tak Ghubar-e-rah Mera Ham-safar Raha is written by Ahmad Shahid Khan. Read famous Poem Jab Tak Ghubar-e-rah Mera Ham-safar Raha for youth and Student by Ahmad Shahid Khan. Free Download Jab Tak Ghubar-e-rah Mera Ham-safar Raha in PDF.