Guman Ke Liye Nahin Yaqin Ke Liye Nahin

guman ke liye nahin yaqin ke liye nahin

ajib rizq-e-KHwab hai zamin ke liye nahin

KHayal jo qadam-kusha hai tere la-shuur mein

ghazal hai magar sabuktagin ke liye nahin

hawaen gosh-bar-sada hain kis ke bab mein KHamosh

nahin diye ki aaya-e-mubin ke liye nahin

use chhupao kushtagan ke dil mein raaz ki tarah

ye tegh-e-abdar aastin ke liye nahin

main ek buDhe falsafi ke KHwab ka amin hun

mere labon ki saKHt angbin ke liye nahin

kamand ko kaman ko abhi se tah na kijiye

ki ye shikar ke liye hain zin ke liye nahin

jo tir uD chala hai wo mere liye hai 'shahryar'

yasar ke liye nahin yamin ke liye nahin

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guman Ke Liye Nahin Yaqin Ke Liye Nahin In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Guman Ke Liye Nahin Yaqin Ke Liye Nahin is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Guman Ke Liye Nahin Yaqin Ke Liye Nahin for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Guman Ke Liye Nahin Yaqin Ke Liye Nahin in PDF.