Inikas-e-tishnagi Sahra Bhi Hai Dariya Bhi Hai

inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai

tar-ba-tar ye raushni sahra bhi hai dariya bhi hai

aag par mera tasarruf aab par meri giraft

meri muTThi mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

jhil mein Thahra hua hai us ka aks-e-atishin

aaine mein is ghaDi sahra bhi hai dariya bhi hai

jal uThen yaadon ki qindilen sadaen Dub jaen

dar-haqiqat KHamushi sahra bhi hai dariya bhi hai

zinda lauT aaya hun jangal se to kya ja-e-malal

mere raste mein abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

koi KHeme rakh kar de koi bazu chhin le

ek si ghaarat-gari sahra bhi hai dariya bhi hai

ret par rakhkhun tujhe ya bahte pani mein bahaun

dekh ai tishna-labi sahra bhi hai dariya bhi hai

tu bagula hai ki hai girdab ai raqs-e-dawam

faisla kar le abhi sahra bhi hai dariya bhi hai

dasht bhi us ki riwayat mein hai mauj-e-ab bhi

meri aankhon ki nami sahra bhi hai dariya bhi hai

tu sambhaalega bhala kaise ye sari saltanat

'shahryar'-shaeri sahra bhi hai dariya bhi hai

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Inikas-e-tishnagi Sahra Bhi Hai Dariya Bhi Hai In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Inikas-e-tishnagi Sahra Bhi Hai Dariya Bhi Hai is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Inikas-e-tishnagi Sahra Bhi Hai Dariya Bhi Hai for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Inikas-e-tishnagi Sahra Bhi Hai Dariya Bhi Hai in PDF.