KHush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko

KHush nahin aae bayaban meri virani ko

ghar baDa chahiye is be-sar-o-samani ko

Dhaal dun chashma-e-pur-harf ko aaine mein

apni aawaz mein rakh dun teri hairani ko

jada-e-nur ko Thokar pe sajata hua main

dekhta rahta hun rangon ki pur-afshani ko

sar-e-sahra meri aankhon ka talatum jaga

mauja-e-reg ne sarshaar kiya pani ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai

jis ne tabinda rakha hai meri peshani ko

tujh se bhi kab hui tadbir meri wahshat ki

tu bhi muTThi mein kahan bhench saka pani ko

sard mausam ne ThiThurte hue suraj se kaha

chadar-e-abr to hai Dhanp le uryani ko

'shahryar' apne KHarabe pe hukumat hai meri

koi mujh sa ho to samjhe meri sultani ko

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. KHush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem KHush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download KHush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko in PDF.