Kun-fayakun Ka Hasil Yani MiTTi Aag Hawa Aur Pani

kun-fayakun ka hasil yani miTTi aag hawa aur pani

pal mein baqa ka pal mein fani miTTi aag hawa aur pani

nagri nagri phirti hain ye diwaren bhi sath hi mere

karte hain meri nigrani miTTi aag hawa aur pani

KHak-basar hun shola-ba-jaan hun aah-kunan hun ashk-fishan hun

dekh tu apni karistani miTTi aag hawa aur pani

mera kya hai mar jaunga chaaron or bikhar jaunga

aap kahan jaenge jaani miTTi aag hawa aur pani

main kabhi shoala hun kabhi shabnam gahe zaKHm to gahe marham

karte hain mujh mein khincha-tani miTTi aag hawa aur pani

main aaina dekh raha hun lekin ye kya dekh raha hai

mera aks pas-e-hairani miTTi aag hawa aur pani

ishq ki nisbat se hain zinda sahra suraj baadal dariya

ishq nahin to sab be-mani miTTi aag hawa aur pani

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kun-fayakun Ka Hasil Yani MiTTi Aag Hawa Aur Pani In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Kun-fayakun Ka Hasil Yani MiTTi Aag Hawa Aur Pani is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Kun-fayakun Ka Hasil Yani MiTTi Aag Hawa Aur Pani for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Kun-fayakun Ka Hasil Yani MiTTi Aag Hawa Aur Pani in PDF.