Nae Zamanon Ki Chap To Sar Pe Aa KhaDi Thi

nae zamanon ki chap to sar pe aa khaDi thi

meri samaat guzishta adwar mein paDi thi

udhar diye ka badan hawa se tha para para

idhar andhere ki aankh mein ek kiran gaDi thi

falak pe tha aatishin daraKHton ka ek jangal

aur un daraKHton ke bich tarik jhonpaDi thi

samai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein

wo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi

jise piroya tha apne hathon se tere gham ne

sada-e-girya mein hichkiyon ki ajab laDi thi

hamari palkon pe raqs karte hue sharare

aur aasman mein kahin sitaron ki phuljaDi thi

tulu subh-e-hazar KHurshid ki dua par

bujhe charaghon ki rakh daman pe aa paDi thi

sabhi ghamin the mere piyale mein zahr pa kar

main mutmain tha ki meri takmil ki ghaDi thi

sawal-e-ruKH gulistan mein aaya to phul Thahra

labon ki hasrat suKHan mein pahunchi to pankhuDi thi

ye log to un dinon bhi na-KHush the 'shahryara'

ki jin dinon mere pas jadu ki ek chhaDi thi

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nae Zamanon Ki Chap To Sar Pe Aa KhaDi Thi In English By Famous Poet Ahmad Shahryar. Nae Zamanon Ki Chap To Sar Pe Aa KhaDi Thi is written by Ahmad Shahryar. Read famous Poem Nae Zamanon Ki Chap To Sar Pe Aa KhaDi Thi for youth and Student by Ahmad Shahryar. Free Download Nae Zamanon Ki Chap To Sar Pe Aa KhaDi Thi in PDF.