Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai

bas ek jahan-e-tahayyur se aane wala hai

wo ajnabi mujhe apna banane wala hai

gulab sang ki surat dikhane wala hai

kahan kahan wo mujhe aazmane wala hai

koi to dekhne wala hai meri aankhon se

koi to hai jo tamasha dikhane wala hai

ye chand aur sitare to ek bahana hain

kuchh aur hai jo yahan jagmagane wala hai

har ek jism yahan ruh ki alamat hai

ye regzar bhi naghma sunane wala hai

bas ek sawal ki taKHliq hai bashar jaise

kahan se aaya hai kis or jaane wala hai

use KHabar hai kahan raushni ka maKHaz hai

wo tirgi mein dilon ko jalane wala hai

amir us ki amanat uTha nahin sakta

faqir asal mein us ka KHazane wala hai

wo ek pyas ka lamha jo mere andar hai

kabhi kabhi to samundar luTane wala hai

wo KHaksar ko deta hai phul hisse mein

wo sang-zar mein dariya bahane wala hai

bahut aziz hai zer-o-zabar ka khel use

bujha bujha ke tamanna jagane wala hai

wo ek gauhar-e-yakta hai mere sagar mein

wo ek ashk ki aankhon mein aane wala hai

samar ko bandh ke rakhta hai wo daraKHton par

jo pak gaya use niche girane wala hai

wo apne aap hi ghar lauT aaega 'ahmad'

kisi ko kaun hamesha bulane wala hai

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Bas Ek Jahan-e-tahayyur Se Aane Wala Hai in PDF.