Dasht-e-ummid Mein KHwabon Ka Safar Karna Tha

dasht-e-ummid mein KHwabon ka safar karna tha

tu ki ek lamha-e-napaid basar karna tha

hum ne kyun aapsi azdad ke nukte DhunDe?

hum ne to KHud ko baham shir-o-shakar karna tha

naqsh banta hi nahin sang-e-samaat pe koi

kund alfaz ko phir tir-o-tabar karna tha

saat-e-dard ki be-chehra o be-nam rahi

qatra-e-ashk ki mahfuz guhar karna tha

tishnagi mahi-e-be-ab si likh honTon par

warna yun bosa-e-saghar se hazar karna tha

mujh pe aayat na koi lafz hi utra 'ahmad'

meri mushkil ki bayan mujh ko safar karna tha

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-ummid Mein KHwabon Ka Safar Karna Tha In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Dasht-e-ummid Mein KHwabon Ka Safar Karna Tha is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Dasht-e-ummid Mein KHwabon Ka Safar Karna Tha for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Dasht-e-ummid Mein KHwabon Ka Safar Karna Tha in PDF.