Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho

hai wahimon ka tamasha yahan wahan dekho

hamare pas mukammal KHuda kahan dekho

dil-o-dimagh ke andar ana ki gunj suno

bala si koi lahu mein rawan-dawan dekho

nafas ka sanp kahan zer hone wala hai

phir is ke baad koi aur imtihan dekho

ab apne ghar ke liye ek nai zamin socho

zamin ke sar pe koi taza aasman dekho

is ek sawal ke kitne azab jhel chuka

kuchh aur dard banu aur imtihan dekho

guzar ke jaana hai wahshat ke ek dariya se

yaqin na ho to yahan rasta kahan dekho

kahan se aaegi ab raushni mohabbat ki

bahut dhuan hai makanon ke darmiyan dekho

main be-yaqin hun aisa ki mere hathon mein

tamam aayaten suraj ki raegan dekho

phaTa hua kisi uryan sawal jaisa hai

hamare sar pe ye rahmat ka saeban dekho

nishan ret ke aae hain mere hisse mein

nikal gaya hai bahut dur karwan dekho

masih maut ka paigham le ke aaya hai

ab aur kaun bachaega meri jaan dekho

mere huruf adhuri uDan jaise hain

mera shuur maani ka aasman dekho

wo ek lamha hayat-ashna likho 'ahmad'

wagarna sari kahani hi raegan dekho

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Hai Wahimon Ka Tamasha Yahan Wahan Dekho in PDF.