Jism Ke Bayaban Mein Dard Ki Dua Mangen

jism ke bayaban mein dard ki dua mangen

phir kisi musafir se raushni zara mangen

kho gae kitabon mein titliyon ke baal-o-par

soch mein hain ab bachche kya chhupaen kya mangen

zafrani kheton mein ab makan ugte hain

kis tarah zaminon se dil ka rabta mangen

hum bhi ho gae shamil masnui tijarat mein

hum ki chehra-saman the ab ke aaina mangen

warna ilm namon ka uTh na jae dharti se

aadmi phale-phule aao ye dua mangen

is se peshtar ki ye raat mund le aankhen

nanhe-munne jugnu se raushni zara mangen

wo sadaen deta hai aaKHiri jazire se

aur hum nigahon ka husn-e-ibtida mangen

kis ke samne rakhiye khol kar raza apni

aur kis se jadu ka bolta diya mangen

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ke Bayaban Mein Dard Ki Dua Mangen In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Jism Ke Bayaban Mein Dard Ki Dua Mangen is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Jism Ke Bayaban Mein Dard Ki Dua Mangen for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Jism Ke Bayaban Mein Dard Ki Dua Mangen in PDF.