Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai

yahan har lafz mani se juda hai

haqiqat zindagi se mawara hai

abhi chehre ka KHaka ban raha hai

abhi kuchh aur bhi mere siwa hai

hamein jo kuchh mila naqis mila hai

magar KHush-fahmiyon ki intiha hai

koi chehra nahin KHushbu ka lekin

tamasha phul walon ka laga hai

main us ki barishon ka muntazir hun

wo mujh se mere aansu mangta hai

yahi bais hai meri tishnagi ka

samundar mujh se pani mangta hai

jahaalat rog tha jo dil ke andar

wahi mazhab hamara ho gaya hai

muqaddas ho gaya hai jhuT mera

mujhe to ab usi ka aasra hai

main pyasa hun purane mausamon ka

magar ab wo zamana ja chuka hai

kahani barg-e-sozan se ibarat

wagarna bahr-o-bar bhi hashiya hai

nahin hai KHwab si taswir jis ki

to phir us KHwab ki tabir kya hai

guman hangama-arai ka aadi

yaqin tanhaiyon mein bolta hai

ye duniya be-KHabar logon ki 'ahmad'

wo duniya ka nahin jo jaanta hai

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Yahan Har Lafz Mani Se Juda Hai in PDF.