Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai

ye waqt raushni ka muKHtasar hai

abhi suraj tulu-e-muntazar hai

shahadat lafz ki dushwar-tar hai

kitabon mein bahut zer-o-zabar hai

abhi khulne ko hai dar aasman ka

abhi izhaar ka pyasa bashar hai

ye duniya ek lamhe ka tamasha

na jaane dusra lamha kidhar hai

jo dekha hai wo sab kuchh hai hamara

jo an-dekha hai wo ummid bhar hai

main KHud KHashak-e-girwida hun warna

mere hathon mein tinka shah par hai

phir is ke baad bas hairaniyan hain

KHabar wala bhi KHasa be-KHabar hai

mera nara hai jangal aag jaisa

mera kalma shikasta baal-o-par hai

zaban meri siyasat chaTti hai

ki is ka zaiqa shir-o-shakar hai

ye andhi pyas ka mausam hai 'ahmad'

samundar raushni ka be-asar hai

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Ye Waqt Raushni Ka MuKHtasar Hai in PDF.