Zamana Ho Gaya Hai KHwab Dekhe

zamana ho gaya hai KHwab dekhe

lahu mein dard ka shab-tab dekhe

manazir ko bahut muddat hui hai

nigahon mein naya ek bab dekhe

sitara sham ko jab aankh khole

achanak chand ko payab dekhe

wo chingari si de qurbat ki mujh ko

to phir suraj ki aab-o-tab dekhe

kai raaten huin khiDki mein ghar ki

talluq ka naya mahtab dekhe

main lafzon ki nai faslen ugaun

wo sannaTon ke taza KHwab dekhe

meri aaankhon mein sawan rang bhar de

mujhe ai kash wo sairab dekhe

na wo aawargi ka shauq 'ahmad'

na koi dasht ko betab dekhe

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Ho Gaya Hai KHwab Dekhe In English By Famous Poet Ahmad Shanas. Zamana Ho Gaya Hai KHwab Dekhe is written by Ahmad Shanas. Read famous Poem Zamana Ho Gaya Hai KHwab Dekhe for youth and Student by Ahmad Shanas. Free Download Zamana Ho Gaya Hai KHwab Dekhe in PDF.