Aasman Ki Aankh Suraj Chand Binai Bhi Hai

aasman ki aankh suraj chand binai bhi hai

raushni mere liye kyun wajh-e-ruswai bhi hai

kis ko sine se lagaun main kise apna kahun

sail-e-rang-o-bu jise kahte hain tanhai bhi hai

maslahat andesha-e-gham ko zara kam kar gai

falsafa wo jhuT shamil jis mein danai bhi hai

zahr-aluda faza mein jab kali sone lagi

ashk-e-shabnam ne kaha gulshan mein purwai bhi hai

fikr jaise aaina-dar-aina raushan charagh

tirgi mere liye ehsas-e-ranai bhi hai

munkashif hote gae ham-surat-e-sang-e-wajud

zindagi husn-e-adam bhi kar-farmai bhi hai

sher kahne ka saliqa hai yahi ahmad-'zafar'

shairon ne baat samjhi bhi hai samjhai bhi hai

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasman Ki Aankh Suraj Chand Binai Bhi Hai In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Aasman Ki Aankh Suraj Chand Binai Bhi Hai is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Aasman Ki Aankh Suraj Chand Binai Bhi Hai for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Aasman Ki Aankh Suraj Chand Binai Bhi Hai in PDF.