Aur Kya Mere Liye Arsa-e-mahshar Hoga

aur kya mere liye arsa-e-mahshar hoga

main shajar hunga tere hath mein patthar hoga

yun bhi guzrengi tere hijr mein raaten meri

chand bhi jaise mere sine mein KHanjar hoga

zindagi kya hai kai bar ye socha main ne

KHwab se pahle kisi KHwab ka manzar hoga

hath phailae hue sham jahan aaegi

band hota hua darwaza-e-KHawar hoga

main kisi pas ke sahra mein bikhar jaunga

tu kisi daur ke sahil ka samundar hoga

wo mera shahr nahin shahr-e-KHamoshan ki tarah

jis mein har shaKHs ka marna hi muqaddar hoga

kaun Dubega kise par utarna hai 'zafar'

faisla waqt ke dariya mein utar kar hoga

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Kya Mere Liye Arsa-e-mahshar Hoga In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Aur Kya Mere Liye Arsa-e-mahshar Hoga is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Aur Kya Mere Liye Arsa-e-mahshar Hoga for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Aur Kya Mere Liye Arsa-e-mahshar Hoga in PDF.