Din Hua KaT Kar Gira Main Raushni Ki Dhaar Se

din hua kaT kar gira main raushni ki dhaar se

KHalq ne dekhe lahu mein raat ke anwar se

uD gaya kala kabutar muD gai KHwabon ki rau

saya-e-diwar ne kya kah diya diwar se

jab se dil andha hua aankhen khuli rakhta hun main

us pe marta bhi hun ghafil bhi nahin ghar-bar se

KHak par uDti bikharti purza purza aarzu

yaad hai ye kuchh hawa ki aaKHiri yalghaar se

ab to barish ho hi jaani chahiye us ne kaha

taki bojh utre purani gard ka ashjar se

ishq to ab sher kahne ka bahana rah gaya

harf ko rakhta hun raushan shoala-e-afkar se

shahr ke naqshe se main miT bhi chuka kab ka 'zafar'

chaar-su lekin chamakte hain mere aasar se

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Hua KaT Kar Gira Main Raushni Ki Dhaar Se In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Din Hua KaT Kar Gira Main Raushni Ki Dhaar Se is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Din Hua KaT Kar Gira Main Raushni Ki Dhaar Se for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Din Hua KaT Kar Gira Main Raushni Ki Dhaar Se in PDF.