Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin

falak pe chand nahin koi abr-para nahin

ye kaisi raat hai jis mein koi sitara nahin

ye inkishaf sitaron se bhar gaya daman

kisi ne itna kaha jab ki wo hamara nahin

zamin bhanwar ho jahan aasman samundar ho

wahan safar kisi sahil ka istiara nahin

main muKHtalif hun zamane se is liye shayad

kisi KHayal ki gardish mujhe gawara nahin

KHizan ke mausam-e-KHamosh ne sada di hai

jamal-e-dost ne phir bhi mujhe pukara nahin

jo reza reza nahin dil use nahin kahte

kahen na aaina us ko jo para-para nahin

main zaKHm zaKHm sahi phir bhi muskuraya hun

'zafar' ba-nam-e-zafar haar ke bhi haara nahin

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Falak Pe Chand Nahin Koi Abr-para Nahin in PDF.