Jab Tak Junun Junun Hai Gham-e-agahi Bhi Hai

jab tak junun junun hai gham-e-agahi bhi hai

yani asir-e-naghma meri be-KHudi bhi hai

khilte hain phul jin ke tabassum ke waste

shabnam mein un ke aks ki aazurdagi bhi hai

kuchh saaton ka rang mere sath sath hai

wo nikhat-e-bahaar magar ajnabi bhi hai

zinda hun main ki aag jahannam ki ban sakun

firdaus-e-arzu mere dil ki kali bhi hai

is yaad ka bhanwar mere ehsas mein raha

izhaar-e-mauj mauj ki na-guftani bhi hai

palkon pe chandni ke takallum ki aanch thi

honTon pe guftugu ke liye tishnagi bhi hai

kyun tirgi se is qadar manus hun 'zafar'

ek sham-e-rah-guzar ki sahar tak jali bhi hai

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Junun Junun Hai Gham-e-agahi Bhi Hai In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Jab Tak Junun Junun Hai Gham-e-agahi Bhi Hai is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Jab Tak Junun Junun Hai Gham-e-agahi Bhi Hai for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Jab Tak Junun Junun Hai Gham-e-agahi Bhi Hai in PDF.