Jangal Ka SannaTa Mera Dushman Hai

jangal ka sannaTa mera dushman hai

phailta sahra dida-o-dil ka dushman hai

jism ki oT mein ghat lagae baiTha hai

mausam-e-gul bhi ek anokha dushman hai

naqsh-e-wafa mein rang wahi hai dekho to

jis ki duniya jo duniya ka dushman hai

sahil-e-marg pe rafta rafta le aaya

tanhai ka rog bhi achchha dushman hai

chand mein shayad pyar milega insan ko

is basti ka saya saya dushman hai

patthar to KHamosh paDe hain rahon mein

aaina kyun aaine ka dushman hai

jis ko dushman samjha wo to chhoD gaya

jis ko apna jaana gahra dushman hai

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jangal Ka SannaTa Mera Dushman Hai In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Jangal Ka SannaTa Mera Dushman Hai is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Jangal Ka SannaTa Mera Dushman Hai for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Jangal Ka SannaTa Mera Dushman Hai in PDF.