Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega

kisi parinde ki wapsi ka safar meri KHak mein milega

main chup rahunga shajar ki surat shajar meri KHak mein milega

udas aankhen sulagte chehron ki mujh ko aawaz de rahi hain

kabhi jo aabaad rah chuka hai wo ghar meri KHak mein milega

lahu ki barish mein zard phulon ki pattiyon se likha gaya hun

main lafz ka zaiqa zaban par asar meri KHak mein milega

dayar-e-shab ke bhaTakte rahi shikar-e-tashkik-o-kam-nigahi

alaw raushan kahin jo kar de sharar meri KHak mein milega

azal se suraj abad mein talash jis ko karta hua gaya hai

sadaf zamin hai to zindagi ka guhar meri KHak mein milega

wo bastiyan jo tabahiyon mein numu ki taswir ban gai hain

wajud jin ka kahin nahin hai magar meri KHak mein milega

main chashm-e-pur-nam ki mishalon se charagh-e-farda jala raha hun

ki naqsh-e-irfan-o-agahi bhi 'zafar' meri KHak mein milega

(1434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Kisi Parinde Ki Wapsi Ka Safar Meri KHak Mein Milega in PDF.